‘Poetry SMS’
wo mohabton k sody b ajeeb krta hai.
wo mohabton k sody b ajeeb krta hai.
faraz
bas muskurata hai or dil khareed lyta hai.
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey
Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey
Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey
Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey
Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey
Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey
Yeh Arzu thi k aisa bhi kuch huwa hota
Yeh Arzu thi k aisa bhi kuch huwa hota
Meri Kami nay , Tujhey bhi Rula dia hota
Main Laut Aata Teri Simt Ek Lamhain main
Tere Labon nay Mera Naam to Lia hota
Chamka Na Karo Jugnu Ki Tarha Raat Ko
Chamka Na Karo Jugnu Ki Tarha Raat Ko MOHSIN
Ly Jaon Ga Muthi Mein Kisi Roz Chupa Kr.
Khuda kisi ko kisi pay fida na kare
Khuda kisi ko kisi pay fida na kare
Kare to qayyamat tak juda na kare
Ye mana ki koi marta nahi judai mein,
Lekin jeee bhi to nahi pata tanhai mein…
Hum jasy loog kbi mila nhi krty.
Karo karm ya sitm hum gila nhi krty..
khizan mein phool kbi b khila nhi krty..
Mila do khak mein magar ye khayal rahy..
Hum jasy loog kbi mila nhi krty.
Kitna tumhy main chahta hoon…
Jab phli bar mily thay hum
Main tb sy tumhy chahta hoon
Fursat k hr lamhy mein
Tumhy he bas sochta rehta hoon
Kasy kahoun main tum sy
Kitna tumhy main chahta hoon…
Dar lagta hy wo muj sy juda na ho jay
Hum chup rhete hain koi khafa na ho jay
Bhole se b hum sy koi khata na ho jay
Bari mushkil sy bana hy jo mera
Dar lagta hy wo muj sy juda na ho jay
Mujhy Tanha Ni krna…..
Mujhy Tanha Ni krna…
main phly he boht akela hn
mujhy tanha ni krna…….
ek dar sa hai dil mein kuch ho na jay? tum sb sambhal lena
mujhy tanha ni krna………
meri umr bhr ka hasil hai apni dosti.so, ay dost! suno
mujhy tanhan ni krna……..
jo b ho jaisy b ho ek bar puch lena muj se
magar dil mein koi khalish kbi paida ni krna…….
mery dil mein jo hai tumhary liye wo rahy ga sada
magr tum apny dil mein kisi ko main ni krna……..
tumhary sath hein zindagi ki rahon mein
kbi humein apni rahon se juda ni krna…….
humein to kushi hai tumhara dard bantany ki
apni kushi se dur sahi magr gham se kbi dur ni krna
ay dost suno tumhy kasm hai
kbi asa ni krna…….!
mujhy tanha ni krna……..
KABHI TM MILNY AOO NA
KABHI TM MILNY AOO NA
Tumain mahsois karna hai…
Tumari zaat main khoo kar
Tumarrah hisa banna hai…
Teri viran ankhoon main,
Tumari bikhri batooun main,
Wafa k rang bharny hain…
Tumary phool chahry pay udasi ka jo manzer hy,
Yahn apni muhabbat se hasi k NAQSH karna hy…
Kabhi tum milny aoo na…
Tum meri ankh k tewar na bhula paoge
Tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga
ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga
isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga
sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga
ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga
shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga
aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga
hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga
is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga
ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main mila
ab ke ham bichhare to shaayad kabhii Khvaabon main milain
jis tarah suukhe hue phuul kitaabon main milain
dhondh ujare hue logon main vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabon main milain
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishton jaisaa
donon insaan hain to kyon itane hijaabon main milain
Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar main shaamil kar lo
nashaa barataa hai sharabain jo sharaabon main milain
aaj ham daar pe khainche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal wo zamaane ko nisaabon main milain
ab na wo main hon na tu hai na wo maazii hai `Faraaz’
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabon main milain
Hum sey “WAFA”
Hum sey “WAFA” ke baare main jo chahe pooch lo,
Leykin “WAFA” ki kia hai “SAZA”ye na poochna.
“RASTE” mein kon kon mila pooch lo mager,
Kis kis ka “SATH” chooT gaya yeh na poochna.
Kiya hum ne “ZINDAGI” kodiya sab ko he khabar,
Kiya “ZINDAGI” ne Hum ko dia ye na poochna.
Jo pyar ke Risthe Hum banate hai
Jo pyar ke Risthe Hum banate hai
Usey Logoon sey Q chupate Hai
Ager Hota Hai Gunnah kisi ko Pyar karna
To bachpan se Sab pyar kerna Q sikhate hain
Mujhey mohabbaton sey kuch mila he nahi,
Mujhey mohabbaton sey kuch mila he nahi,
Mujhey unsey bhi koi gila nahi.
Q me rastoon ko ilzam doon,
Mera humsafar hi sath chala nahi.
Mai usko bewafa sa lagta hoon,
Jisey khud wafa ka pata nahi.
Muskurati ankhon main aa jate hain ansu
Muskurati ankhon main aa jate hain ansu
dard dil ka byan kar jatae hain aansu
Bojh jab dil par haad sae barh jaaye
us bojh ko halka kar jaatae hain aansu
In aansoon ki fitrat ko kisne pehchani hai
khushi ho ya gum chalak aate hain aansu
Apse bichra to socha na roun ga kabhi
par yaad apki aatae hi aa jaatae hain aansu.
Hosle Hadon tak azmaya nahi kerte,
Hosle Hadon tak azmaya nahi kerte,
Jo hon apne unhen yun sataya nahi kerte,
Chahne waley bhi waqt ke lamhon ki terhan hain,
Beet jaeyin tuh phr lot ke aya nahi kerte.
Roothna mat
Roothna mat mujhey manana nahi ata
Door mat jana mujhey paas ana nahi aata
Tum mujhey bhool jau tumhari marzi
main kia keron mujhey tuh bhool jana bhi nahi ata.
Sham Suraj ko dhalna sikha deyti hai,
Sham Suraj ko dhalna sikha deyti hai,
Shamma parwane ko jalna sikha deti hai,
Girne wale ko takleef to hoti hai magar,
Thoker insan ko chalna sikha deyti hai.
eri khshi ki khatir khud ko Sambhal Rakhna,
meri khshi ki khatir khud ko sambhal rakhna,
Us ne kaha tha mujh sey apna khayal rakhna,
Woh keh raha tha sahyd kuch na bata sakun main,
Merey samney na tum bhi koi sawal rakhna,
Woh yeh bhi keh raha tha tum kuch bhuula na deyna,
majburion main kudh ko hargiz na dhaal rakhna,
Woh has ke keh Raha tha gham bhi tumhein milein gey,
Leykin na hosla apna nidhal rakhna,
Her bat ka takaza mujh se jo ker raha tha,
Kya us ka haq nahi tha mera khayal rakhna ….???
Rehte ho aaj bhi sanson k bich tum
Rehte ho aaj bhi sanson k bich tum,
Yadoon k bich, kitaboon k bich tum,
Jab bhi Qalam uthata hoon likhne k waste,
Ban k ghazal ajatey ho lafzon k bich tum.
Sham honay se pheley lot aana,
Sham honay se pheley lot aana,
Kisi k naam honay sey pheley lot aana,
Hum tere intazar main hain,
Anjan honay se pheley lot aana,
Subah sham rehti tere deedar ki umeed,
Din khatam hone se pheley lot aana,
Ager na lot pao tuh bas itna kar dena,
Meri akhri sans khatam honay se pheley lot aana.
Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos
Ye Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jaata
Dosti Ke Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim
Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jaata
Bahut Kam Hai Log Jo Dil Mein Utar Jaate Hai
Har Raah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jaata
Koshish Se Badal Jati Hai Takdeerein
De Kar Ilzaam Qismat Aur Dil ko Behlaya Nahi Jaata
Koi dukh na ho koi ghum na ho
Koi dukh na ho koi ghum na ho,
Koi aankh kabhi num na ho,
Koi dil kisi ka tore na,
Koi sath kisi ka chore na,
Bas piyar ki nadiyan behti ho,
Kaash k Duniya aisi ho…..
Wo Jo Milta hy to Har Dard Bhula Deta ha
Wo Jo Milta hy to Har Dard Bhula Deta ha,
Jany kia Bat hai Dil Usko Dua Deta hy,
Wo Muje Pyar Se Roty me Hansany Wala,
Yaad Ata Hy To Hansty Me Rula Deta hy.
0 comments:
Post a Comment