‘Shayari SMS’
faqat khuwabon se hi nahi milta sakoon sone ka”faraz”
faqat khuwabon se hi nahi milta sakoon sone ka”faraz”
kisi ki yaad may raat bhar jagne ka bhi apna maza hai.
~Yunhi faslon ko banay rakh
~Yunhi faslon ko banay rakh,
yunhi intezar rehny dy
~Mere zehn-o-dil k sukoon par,
Mera ikhtyar rehny dy
~Teri chahton sy jo dard mila,
boht khushi sy qabul hy
~Meri chashm-e-nam ka guman na kar,
Mujhe ashk baar rehny dy
~Teri bebasi baja sahi,
Meri khush fehmi bi ghalat nhi
~Tujhe har qadam pe khushi mile,
Mujhe gam e yar mein rehny dy
~Meri guftgu me jo dard he,
wohi dard Mera hasil hy
~Me bhul chuka hun qarar ko,
Mujhe beqrar he rehny dy….
Raaz-e-Dil…
Raaz-e-Dil
Lakh Chaha Magar Wo Muje Bhula Na Saka
Mere Khayal Wo Dil Se Kbi Mita Na Saka,
Mujse Wo dur Bohat dur ho Gaya Tha Magar
Apni Dil Se Mera khyal Kbi Hata Na Saka,
Mujse Wo Duri Barhaty Barhaty
Wo itna Qareeb Ho Gaya K
Phir Kbi Wo Mujse Dur Ja Na Saka,
Kitni Muhabbat Hy Us K Dil Mein Mery Liye
Chah Kar Bhi Kbi Wo Mujhe Bata Na Saka,
Boht Chupaya Khud Ko Us Ny Muj Sy
Hale-e-Dil Mujse Per Chupaa Na Saka
“MUJHE AWAZ DE LENA”
“MUJHE AWAZ DE LENA”
Kabi jab ankh chalke to
Kabi jab dil na sambhle to
Khud ko tanha ni krna
“MUJHE AWAZ DE LENA”
Koi ansu na ponchy to,
Koi hansne se roke to,
Koi tumko sataye to,
Kisi sy bat mt krna
“MUJHE AWAZ DE LENA”
Ye meri talash ka jurm hy …
Ye meri talash ka jurm hy
Ya meri wafa ka kasor?
Jo dil k jetna kareeb hy ,
wo nazar se utna hi dur hy.!
Teri kami hy ….
Khushbuon k jazeeron sy ly k sitaron ki hadon tk
Is sehr mein sb kuch hy fakt teri kami hy……….
Usay Batana
Usay Batana
Gham-e-Zamana
Faraib Dega
KhiyaL Rakhna
.
Wafa K Raste se Lot Jana
Faraib Dega
KhiyaL Rakhna
.
Sakoon Dain gi WisaaL Raatein
Chain Dain gay Udaas Lamhe
.
Mgr Ye Pal Bhr Ka Muskarana
Faraib Dega
KhiyaL Rakhna
Tu Khwab Kis ka
Main Khwab Kis ka
Na Payar Mujh ko
Na Payar Tum ko
.
Ye ik Doujay K Paas Aana
Faraib Dega
KhiyaL Rakhna
.
Jo Qeher Toota hai DiL Pe Mere
Wo Qeher Toote na Ab Kisi Pe
.
Ye DiL Jalana
Ye Ghar Lutana
Faraib Dega
Khiyal Rakhna…!
Koi Aaa kar Hath mera tham ley,
Koi Aaa kar Hath mera tham ley,
Mujhe Tanhaiyon se dar lagta hey.
Koi apna keh kar mera nam le,
Mujhe harjaiyon se dar lagta hey.
Sama jaye koi mere wajud main
Mujhe Judaiyon se dar lagta hey
Mohabbat mai doob jaon mai B
Mujhe Gehraiyon se dar lagta hey.
KUCH TO HY TU BDAL GYA HY”
“KUCH TO HY TU BADAL GYA HY!
.
Wo teri ankhon k khawb sary wo batin sari hisab sary swal sary
Jwab sary
Wo khushain sari
Azab sary
nsha tha jo wo utr giya hy,
.
KUCH TO HAI TU BADAL GYA HAI! Jo tery milny ki arzo thi
Jo tujko pany ki justju thi
Hui jo chahat abi shuro thi
Jo teri ankhon main roshni thi jo teri baton ki rangini thi
Jo teri sanson ki tazgi thi
Jo try lehjy main chashni thi wo sra meetha pighal gya hy
.
KUCH TO HY TU BDAL GYA HY”
Khud ko Parhta hua Chhor deta hoon.
Khud ko Parhta hua Chhor deta hoon.
.
Roz 1 Warq Morr deta hoon.
.
Iss Qadar Zakhm hain Nigaahon mein.
.
Roz 1 Aaina Torr deta hoon.
.
Kaanptay Hont; ßheegti Palkain.
.
ßaat Adhoori hi Chhor deta hoon.
.
Rait k Ghar ßana ßana k.
.
Jaane Q Khud hi Torr deta
hoon…??
Bare anjaan mosam me
Bare anjaan mosam me
Boht berang lamhon me
.
Bina ahat bina dastk
.
Buhat masoom sa sapna
.
Utar aya hai ankhon mei
.
Bina soche bina samjhe
.
Kaha hai dil ne chupke se
.
Haan es nanhay se sapne ko
.
Ankhon me jaga de do!
.
Bina roke bina toke
.
Sanson mei mehkne do
.
Hamesha ki tarha ab bhi.
.
Bina uljhe bina bole
.
Jhuka dala hai sar hum ne!
.
Magar tabeer kya hogi
.
Ye hum janain na dil jane
.
Fakat maloom hai itna
.
K Dil k feisley aksr
.
Humein km RAAS aae hain..!!
=Meray qurb se meray wajood tak,
=Meray qurb se meray wajood tak,
=Usay ikhtilaf to sada ka tha..
.
=Meray ghum se meray junoon tak,
=Yeh faasla bus ana ka tha.
.
=Meri zindagi se meri saans tak,
=Woh falsafa buss dua ka tha.
.
=Meri baat se Teray zikr tak,
=Koi silsila jo hawa ka tha.
.
=Meri haqiqat se meray khawab tak,
.=Woh bay-khabar intiha ka tha
.
=Meray veham se meray gumaan tak,
=Yeh marhala wafa ka tha..
.
=Meri talab se meray naseeb tak,
=Yeh maamla khuda ka tha.
Meri har khushi Tere Nam ho,
Meri har khushi Tere Nam ho,
Teri har Ghami Mere Nam ho,
Meri chahton k Mehrban,
Meri zindgi Tere Nam ho,
Teri har ada pe ho jaon fida,
Teri har Nazar ko slam ho,
Main Hans k pi loon ga Zehr b,
Jo Teray hathon ka jam ho,
Sirf aap ki chahat Main ay Dost,
Meri umr yon hi Tamam ho.
Koi tha jis ny mujhy apna banaya tha
Koi tha jis ny mujhy apna banaya tha
Meri dunia me ay kar har sapna dikhaya tha
Kya hoa jo aaj aankhon me nami hai
Ronaq bhi to in par woi laya tha
Baqi pas mery ab kuch bhi na bacha hai
Dil tha kih woh bhi uss py lutaya tha
Kush fehmi mein mubtala keh wo aya to tha
Dekha keh hath us ny or ko thamaya tha
Bad naseebi keh meri woh phir sy kho gya
Mil na paya ussy kih woh laut kar aya tha
Jo andhery mein ussy kuch dikhai na dia
Ujaaly ki khatir dil Iffat ka jalaya tha
Bheeg jaati hain palkein tanhayi mein
Bheeg jaati hain palkein tanhayi mein, darte hain koi jaan na le. Pasand karte hain tez barsaat mein chalna, kahi rote hue ko koi pehchaan na le.
Na jaane tum pe itna yakin kyon hai
Na jaane tum pe itna yakin kyon hai? Tera khayal bhi itna haseen kyon hai? Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai; to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai?
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko, chale jayen gain jab hum kabhi na wapis anye ko. Chaley ga mehfil me jab zikr hamara koi, to tum bhi tanhayi dhundo gay aansu bahane ko.
Tum mujhe kabhi dil kabhi aakhon se pukaro
Tum mujhe kabhi dil kabhi aakhon se pukaro, Ye hothon ke taqaluf to zamane ke liye hain.
Dil Ki Batain, Bata Deti Hain , Aankhen …
Dil Ki Batain, Bata Deti Hain , Aankhen …
Dil Ki Batain , Bata Deti Hain , Aankhen ,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen ,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi ,
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain ,Aankhen,
Woh Hum Se Baat Nahi Karte , Tu Na Kare ,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain Aankhen,
Gham Sada Rehta Nahi , Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar , Chalka Deti Hain Aankhen,
Aata Hai Jab Dor – E – Jawani , Tu Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein ,Basa Deti Hain Aankhen,
Mana Ke Neend Aati Hai , Aankhon Hi Ke Raste ,
Magar Kabhi Kabar ,Neend ,Ura Deti Hain Aankhen,
Eesha Shukar Hai , Khuda Ne Ata Ki , Aankhon Ki Neamat
Humain, Dard -O-Gham ,Sare Dil Ke , Chupa Deti Hain Aankhen.
Koi Tha Jis Ny Mujhy Apna Banaya Tha
Koi tha jis ny mujhy apna banaya tha
Meri dunia me ay kar har sapna dikhaya tha
Kya hua jo aaj aankhon me nami hai
Ronaq bhi to in par woi laya tha
Baqi pas mery ab kuch bhi na bacha hai
Dil tha kih woh bhi uss py lutaya tha
Kush fehmi mein mubtala keh wo aya to tha
Dekha keh hath us ny or ko thamaya tha
Bad naseebi keh meri woh phir sy kho gya
Mil na paya ussy kih woh laut kar aya tha
Jo andhery mein ussy kuch dikhai na dia
Ujaaly ki khatir dil Iffat ka jalaya tha
Bheegi ankhon se muskurane me maza aur hai,
Bheegi ankhon se muskurane me maza aur hai,
Haste haste palke bhigane me maza aur hai,
Baat khehke toh koi bhi samjhe,
Khamoshi ko koi samjhe toh maza aur hai???.
Kanta na hota, toh phool ki hefazath na hoti,
Andhera na hota,to roshini ki zarurath na hoti,
Agar mil jati har khushi duniya me,
Toh dil ki mulaqath dard se na hoti
Kaash koi khushiyon ki dukaan hoti,
Aur mujh uski pehchan hoti,
Kharid leti har khushi aapke liye,
Chahe uski keemath meri jaan bhi hoti?
Juda rehkar bhi woh satane se baaz nai ate,
Dur rehkar bhi who dil jalane se baaz nahi ate,
Khud toh so jate hai chain se magar,
Khwab me aane se bhi wo baaz nahi aate???
Rishton ki yeh duniya hai niraali,
Sab rishton se pyaari hai tumhaari,
Manzoor hai aansu bhi aankhon me hamari,
Agar aajaye muskaan honton pe tumhari??
Har shakhs se na rakh umeed-e-wafa
Har shakhs se na rakh umeed-e-wafa
sab phool khushboo diya nahi kartay
Khaak Urti HAi Raat Bhar Mujh Mein
Khaak Urti HAi Raat Bhar Mujh Mein
Kon Phirta Hai DarBadar Mujh Mein
Main Ik Aisa Sumandr Hoon
Main ik aisa sumandr hoon
jisy serab hona hai
jisy bsna hai rait k choty gharondy main
simatna hai or toot kar betab hona hai
tumhary sang chalna hai wafa k geet gany hain
shab-e-mahfil phir mujy hi mahtab hona hai
kisi k dil main chobna hai ik kanta sa ban jana
kisi k zikr main phir soorat-e-gulaab hona hai
zamany ki nazar mein main to hoon jazbat ka sagar
PAR
MAIN IK AISA SAMANDAR HOON JISY SERAB HONA HAI
Agar Tu Chahy
Ham to saya tera ban jayen agar tu chahy
Ya kabhi bhi na nazar aayen agar tu chahy
Tu jo chahe to sar-e-aam karen ehd-e-wafa
Yunhi dunya se guzar jayen agar tu chahy
Tujh se milne main to janaan teri ruswai hai
Ham teri yaad se mil aayen agar tu chahy
Tu jo keh de to pukaaren sar-e-bazaar tujhy
ajnabi ban ke guzar jayen agar tu chahy
Zindagi kar len agar teri ijazat mil jaye
Teri chaukhat pe hi mar jayen agar tu chahy
Tu to chahe to zamane ke sitam yunhi sahen
Saari dunya se bhi takraayen agar tu chahy
Tu Saraab aya hai badla hua chehra lai kar
Ham tujhe tujh se bhi milwayen agar tu chahy
Sabhi ko sabh kuch nahi milta,
Sabhi ko sabh kuch nahi milta, nadi ki har lehar ko sahil nahi milta, yeh dil walon ki dunia hai dost, kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.
Tu khafa ho gayi to koi khushi na rahe gi,
Tu khafa ho gayi to koi khushi na rahe gi,
tere bina chirago me roshni na rahe gi,
kya kahe kya guzregi dil par,
zinda tou rahen ge par zindagi na rahe gi.
Khwaish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Khwaish aisi karo ki aasman tak ja sako,
Dua aisi karo ki khuda ko pa sako,
Yuan tou jeene k liye pal bohat kam hai,
Jiyo aise k har pal me zindagi ko pa sako.
Tere Honton pe Saj jaun DUAA hone ko Jee chahe
Tere Honton pe Saj jaun DUAA hone ko Jee chahe
Mera Dunya bhula kar bas Tera hone ko Jee chahe
Yun sab k samne Athkelyan karti hai ye Tujh se
K Mera Be-Irada hy HAWA hone ko Jee chahe
Tu Mere Roothne per is Tarha Mujh ko Manati Hai
Kabi to Be-Waja Tujh se Khafa hone ko Jee chahe
Kabi Tujh se mile bin Zindagi bekaar lagti hai
Kabi Tujh se Bicharne ko Juda hone ko Jee chahe…
Koi dukh na ho koi ghum na ho
Koi dukh na ho koi ghum na ho,
Koi aankh kabhi num na ho,
Koi dil kisi ka tore na,
Koi sath kisi ka chore na,
Bas piyar ki nadiyan behti ho,
Kaash k Duniya aisi ho…..
Wo Jo Milta hy to Har Dard Bhula Deta ha
Wo Jo Milta hy to Har Dard Bhula Deta ha,
Jany kia Bat hai Dil Usko Dua Deta hy,
Wo Muje Pyar Se Roty me Hansany Wala,
Yaad Ata Hy To Hansty Me Rula Deta hy.
0 comments:
Post a Comment